Manoj tiwari ki chutti kar di aadesh gupta ne aor khud ban gaye delhi bjp adhyaksh


Manoj tiwari ki chutti kar di aadesh gupta ne aor khud ban gaye delhi bjp adhyaksh


Corona mahamari ke bich b.j.p ne apni party me bade badlao kiye hai . Jaha delhi me manoj tiwari ko b.j.p adhyaksh pad se hata diya aor aadesh kumar gupta ko delhi ka naya b.j.p adhyaksh banaya iske liye party ke maha sachiv arun sinh ki taraf se adhikarik latter bhi de diya gaya hai . 


Isi ke alawa party ne chhatisgarh ke adhyaksh ko bhi hataya hai . Aor unki jagah vishnudev saaye ko pradesh adhyaksh bana diya  hai . Manipur me bhi b.j.par party ne naye pradesh adhyaksh banaya hai ab manipur me b.j.par party ke adhyaksh s. Tikendra singh hai b.j.p party ke rashtriya adhyaksh j.p nadda ne apne nirdesh par teeno pradesh ke adhyaksho ki ghosna ki 

Kyo hua ye badlao ?


Delhi aor chhatisgarh me vidhansabha chunao me b.j.par ko karari haar ka mil thi jaha delhi me b.j.p ko aam aadmi party (aap) ne haraya tha wahi  . Chhatisgarh me congress se haar mili thi jiske baad dono pradesh ke b.j.p party ke chif ko hatane ki khabar thi .


Manoj tiwari ka kyu gira wicket ?

Haal hi ke vidhansabha sabha chunao me b.j.p ko haar mili thi jiske baad hi  b.j.par ke pradesh adhyaksh aor manoj tiwari ne istifa de diya tha . Lekin unke istefe ko manjuri nhi mili thi isi bich manoj tiwari ka lockdown me cricket khelte huye aor lockdown ka ulanghan karte huye video samne aaya jiske baad unhe unke pad se hata diya . 

Aadesh gupta kon hai ?

Jamini neta ke naam se pahechan hoti hai aadesh kumar gupta ki . Vaha delhi ke pashchim patel nagar ke parshad hai 
Iske alawa meyar bhi rahe chuke hai north delhi ke b.j.par party ka kahna hai ki aadesh kumar gupta ko delhi ka adhyaksh banane ke baad ab apna pura focus m.c.d chunao par karegi 


Vishudev say kon hai ?

Vishnudev say chhatisgarh ke purv kendriya mantri rahe chuke hai jinhe ab b.j.p party ka adhyaksh bana diya hai . Vese vishnudev pradesh adhyaksh pahele bhi rahe chuke hai. Isse pahele vishnu dev say 2006. Se 2009 aor phir 2013 tak adhyaksh rahe chuke hai yaha unka tisra karyakaal hoga . 



Breaking news videos ke liye youtube channel ko subscribe kare :-. The21news 

Post a Comment

Previous Post Next Post